
ye hai mare Pakistan
mere har qadam par neya bohran
ye hai mera Pakistan
kabhi aata nahi kabhi chini nahi kabhi gass nahi kabhi bijli nahi
yeh son kar yahan har koi hai pareshan
yeh hai mera Pakistan
mere har ik qadam par neya bohran qatlo gaarat is k andar or har taraf hai loot mar
mehnat chahay jitni bi kar lo mehngai k aage sab bekar
bik gia hai mera ghar or jal gai mere dokan
ye hai mera Pakistan
mere har qadam par ik neya bohran
phir bi koshish mujko hai karna har boray halat say hai muj ko larna
door kahein manzil hai mere main ho har rasty say anjaan
yeh hai mera Pakistan
har qadam par ik neya bohran
yahan dar kar jane say behtar hai zinda dili say mar jana
mout ka wakat to moqrar hai ek din phir kia doshman k aage jhukna
tor k sari sazishon ko ban ja to acha insan
yeh hai tera Pakistan
yeh hai mera Pakistan
har qadam par ik neya bohran
By Zahid lahori
Adi Muhammad Faisal .
No comments:
Post a Comment